Jis Aur Jhuke Hum Masti main Jhuk Jaye Udhar Ambar Bhutal,
Aazad Vatan Ke Bashinde Har Geet Hamara Hai Badal.
Vividh Prant Hai, Apni-Apni Bhasha Ke Abhimani Hum,
Par Is Sabse Pehle Duniya Hindustani Hum.
Rahan Sahan Main, Khan paan Main Bhinna Bhale Hi Ho Kitne,
Is Mitti ko Dete Aye, Miljul Kar Kurbani Hum.
Himgiri Se Sagar Tak Apna, Rang Viranga Hai Anchal,
Aazad Vatan Ke Bashinde Har Geet Hamara Hai Badal.
Rastra Gagan Main Jativaad Ki Chamak Udhi Bhishan Kalika,
Dahak Rahi Antar Antar Main Bhasha Ki Dahak Ulka.
Gher Rahi Humko Varno Main Varna Dharma Ki Deeware,
Jhak Rahi Hai Foot Chaturdik, Vigrah Ka Ghughat Sarka.
Aao Bhed Mita De Sara, Rastra Tarun Sab Mil Avichal,
Aazad Vatan Ke Bashinde Har Geet Hamara Hai Badal.
Sadiyon Se Gujre Lakho Tufan Hamare Aage Se,
Aaj Jhuke Kuch Takrakar To Kal Lagte Phir Jage Se.
Tamil Se Kashmir Bhale Hi Door Dikhyi De Kitna,
Par Har Prant Juda Hai Apna, Aganit Komal Dhago Se.
Jis Aur Badhaye Pag Humne, Ho Gayi Udhar Bhu-Nav Mangal,
Aazad Vatan Ke Bashinde Har Geet Hamara Hai Badal.
जिस ओर झुके हम मस्ती | Hindi Lyrics
Categories