Schoolo Ki Diwaro Par Ja,
Dil Banane Wale Ladke.
Chalti Teer Ko Hanske Apne,
Dil Pe Khane Wale Ladke.
Udti Teer Bhi Khud Par Leke,
Lad Bhid Jane Wale Ladke.
Aur Dil Tute To Bistar Par Hi,
Jheel Banane Wale Ladke.
Us Daur Ka Jaadu Kya Jane,
Ye Reel Banane Wale Ladke.
Taazi Kitab Par Baasi Akhbaar Ki,
Jild Chadhane Wale Ladke.
Aur Kha Ke Samosa Senior Ke Sir,
Bill Teekane Wale Ladke.
Are Mehnat Ke Path Par Milo,
Cylkil Chalane Wale Ladke.
Sangharsho Ki Taap Main Tap Kar,
Takdeer Banane Wale Ladke.
Us Daur Ka Jaadu Kya Jane,
Ye Reel Banane Wale Ladke.
Ek Sher Rata Khud ko,
Galib Meer Batane Wale Ladke.
Bin Chawal Bin Dhoodh,
Baat Ki Kheer Banane Wale Ladke.
Aur Haq Main Udhe To,
Kalmo Ko Samsheer Banane Wale Ladke.
Us Daur Ka Jaadu Kya Jane,
Ye Reel Banane Wale Ladke..
— Nilotpan Mrinal
About Poet
Nilotpal Mrinal (born 25 December 1984) is an Indian author, poet, socio-political activist and social media influencer. He is known for his books Dark Horse, Aughad and the novel Yaar Jadugar. In 2016, he was awarded India’s Sahitya Akademi Award.